About us

Namaskar Swagat hai aap sabhi ka hamare website bhaktanandam.com par.

Toh chaliye jaante hain – Bhaktananadam kya hai ,

Apne bhagwan ke prati niswarth sacchi seva aor prem hi bhakti kehlati hai aor Anand woh hai jo bhoutik sukho se pare hai jo parmanand hai isliye iska naam Bhaktanadam hai.

Hamare iss bhaktanandam website par aapko bharat ke prachin santo avam bhakton ki jeevan shaili ,unka charitr aor unki bhakti ke baare mein janene ko milenge.

Uddeshya— Apne Ishwar ke prati prem aor unse sambandh sthapit karna. Kyunki hamare jeevan mein itni saari mushkile hain ki hum usese ladte – ladte thak jaate hain aor ishwar se shikayat kar baithte hain ki itna dukh hamare jeevan kyun.

Isliye humne bhakton ke charitra ke baare mein likha hai unke jeevan mein aane waale sangharshon ke baare mein aap janenge .Ye keval katha hi nahi gyan aor gun ka bhandaar hai . Bhakton ka charit aapko aanand , shanti , prasannta , satvikta , prem , samarpan , dhiryawan ,saiyyam ye sabhi gun aor pawan charitr sikhate hain jo aaj ke adhunik yug mein ye sabhi ati avashyak hai .

Isliye apne isht se sambandh sthapit kijiye kyunki bina sambandh ke ishwar ke prati keval Aastha aor Shraddha ho sakti hai kintu prem-prem nahi ho sakta .

Mai aap sabki mitra aasha karti hoon Bhakanandam par aakar aap sabko prasannta ki anubhuti ho.

Dhannyavad